ब्लॉग (Blog) से Navbar कैसे हटाये।

Brijesh Yadav
0

 Blogger Navbar kya Hai?


Ham jab Blog Banate hai Blogger.com par to hamare blog par upar ek Navigation bar (Menu) hota hai. Navbar sirf ek bloffer ke kaam ka hota hai bo uski madad se direct apne Bloggger ke deshboard me ja sakta hai.
   Ye Navbaar un logo ke liye jyada fayede mand hota hai jo naye naye Blogging karne aate hai ye help ke liye hota jis per aap click karke direct usse sambandhit kaam kar sakte hai.....



B- ke icon par click karne par aap Blogger.com khul jata hai
Search Bar is par aap blog ko search kar sakte hai
google+ button se page ko share kar sakte hai Google+ par
More ki or share ke option aa jate hai
Next Blog>> par click  karne par Blogger ka koi bhi dusra blog khul jata hai.
yaha par aapka Email id dikega jisse aap login ho.
New Post par click kar ke naya post likh sakte ho.
Design se aap apne blog ke template ke section me phuch jate hai.
Sign out par click karke logout kar sakte hai.
 ab to aap samaj gaye hoge ki Navbar sirf hamare shortcut ke liye hai par hamare visitors ko iski koi jarurat nahi hai.

Navbar ke Faide-Nuksaan


Navbar hamare shortcut ke liye hota hai. Agar ham usko hatate hai to bas hamara ye nuksaan hoga ki hame blogger.com par jaakar hamare blog ka dashboard kholna padega. Faida ye hai ki aapka jo blog hai wo ek website ki tarah dikhga me aapko kahuga ki aap isko hata de.

Ek baat or agar aap  koi naya Template use karte hai to aapko Navbar hatana hi padega. kyuki fir wah navbaar uper se hatkar kahi b hi show hone lagta hai jo aapke visitors ko bhi dikhai dene lagta hai..

Navbar ko kaise hataye

Navbaar Ko Aap 3 Tariko se Hata Sakte hai.

  1. Nav-bar ko Off kar sakte hai
  2. Nav-bar ka Code Delete kar sakte hai
  3. CSS code ko jod kar Navbar ko hata sakte hai

ham sabse saral tarike ki baat karege jo phele nahi tha Blogger ne abhi joda hai, Navbar ko Off karna

Navbar ko Off kaise kare


 Navbar ko Off karne ke liye aapko Apne blog ke Layout me Jana joga. Usme aapko ek Navbar ke naam se ek widget dikega, uske edit link par click kare.
  1.  Layout par click kare...
  2. Navbaar Widget ke Edit par click kare...

Uper Screenshot me dekhe...


Ispar click karne ke baad ek popup page khulega Screenshot me dekhe....

  1. Current navbaar jo aapke blog me hai is samay....
  2.  Off ka button hai us per Tik kare...
  3.  Save par click kare... 

Ab Aapke blog se dekhenge to Navbaar hat chuka rahega...
Dhanywaad

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)
CLOSE ADS
CLOSE ADS