AdSense अकाउंट Approve कैसे कराये?


Aap apna adsense account ko apply karne se phele in sab topics ko achi se padle, Aapke adsense account ke approve hone ke jada chances hoge agar aapne in baato ka diyaan rakha.

➩ Adsense ki Term and policies

Inki ijat karoo. Matlab unki Terms ko achi se pado. jada tar log padte hi nahi to unko pata hi nahi chalta bo kaha galti kar rahe hai
.

➩ Contant ki kami

Apni site par achi se contant ko dalo, kamse kam 50 se 100 badiya article dalo. Ache Aticle se ye matlab nahi ki jo phele se ho dusri sites par unko dalo, kuch apna dalo jisse logo ko madad mile.

➩ Cut, Copy, Paste Naa kare

Kahi se copy to karne ki sochna bhi nahi – nahi to hoga ye ki naa hi search engine me aapki site aayegi or naa hi koi visitor aana pasand karega, kyu ki unko pata hoga ki ye contact isne yaha se copy kiya hai. Or rahi baad adsense approve hone ki to uske bare me to sochiye bhi mat ki aap copy karke post daaldoge or aapka adsense account approve ho jayega.
Bhut log sochte hai thoda change karke daal dete hai or kabhi kabhi account approve bhi ho jata hai par jiska original contact hai agar usko pata chalta hai or agar unse Google me report kar di to aapka article bhi delete ho jayega, Adsense account bhi disable ho jayega. To muje is topic par jada samjane ki koi jarurat nahi hai aap samaj gaye hoge ki copy-paste nahi karna hai.

➩ Bahut sari Images


Agar aapka koi Blog hai or aap uspar Image hi daate ho to sorry aapke blog par adsense account approve nahi hoga. Bhut sari Image problem nahi hai, problem ye hai ki search engine ko Image me kya hai ye samaj nahi aata or adsense ko pata hai isliye adsense bhi approve nahi hota.

➩ Acha Design or Badiya Navigation

Simple Template use kare, jo dekhne me clean ho. Jo padne or Dekhneme bhi aasaan ho. Ye kuch baate jo aapke template mo honi chaiye –

Mobile Friendly ho.
BackGround me koi Image naa ho. taki site ko load hone me aasani ho.
Faltu ke widget ko add naa kare, Sample Facebook Like box, or dusre social button ko add kare.

➩ Koi Dhoka nahi Kare

Matlab bhut log adsense ko apply karte hai fir ulte kaam karte hai. jese apne dosto se khete hai ki ads par click kare, khud alag alag computer par apne ads par click karte hai. aisa karne par ham unki sarto ka palan nahi karrahe hote or jese hi unke system ko iski jaankari milti hai hamara adsense account bhi disapproved ho jata hai. To aesa karne ka soche bhi nahi.

➩ Apni Site ke liye Visitor nahi kharide

Jo visitor apni marji se aate hai wo google ko bhi pasand hai or agar ham Apni site ke liye visitor ko badane ke liye kisi ko paise dete hai to jo visitor aate hai wo unki marji se nahi aate or fir bo kuch ulti sidi harkate karte hai. Jo Google ko bilkul pasand nahi hai.

➩ Phele apni Traffic badhaye fir apply kare

Mene bhut logo ko dekha hai ki Blog banke teyaar huaa nahi ki adsense ko apply karne lage. Adsense Disapprove to hona hi hai. or agar maan lo ki adsense approve ho bhi gaya to or blog par din me 100 visitor aate hai to income bhi naa ke barabar hogi. to phele traffic badane par diyaan do Paise to apne aap aayege. Mene bhut se logo ko dekha hai jinke 1+ lakh se jada visitor aate hai unki site par per day fir bhi unhone adsense ke liye apply nahi kiya kyu ki uska main maksad traffic ko badana hota hai. or paise kamane ke dusre upai bhi hote hai.
Bidvertiser ka use kar sakte ho, jab tak Adsense Approve naa ho

➩ Site 6 Mahine purani hona chahiye

India me or China or kuch country me Adsense ke account ke liye Site kam se kam 6 mahine purani hona chaiye.  Ek tarike se dekha jaye to ye badiya hai kyu ki ham 6 mahine tak badiya post daalte hai to hamari traffic bhi bad jati hai. jisse ham jab 6 mahine baad hamari site ke liye adsense approve ho to hamari income bhi badiya ho sake.

➩ Ye page hona jaruri hai

About Us, Contact Us, Terms ke page bhi apne site me add kare isse adsense ko apne bare me samajhane me aasani hoti hai to hamare adsanse ka account approve hone ke bhi jata chances hote hai. About page me apne or apne blog ke bare me bataye. Contact Us me apna Email Id Dale or ek contact form bhi add kare taki uske istmaal karke koi bhi aap se contact kar sakte. Terms me bataye ki aapke site par jo visitor aata hai aap unki kya kya jaankari lete ho aadi….

➩ Language Supported naa ho Adsense par

Hamara adsense account tab bhi nahi banega jab ham apne blog par koi ayse bhasa use karege jo adsense support nahi karta.  achhi  baat ye hai ki ab adsense Hindi bhi Support karta hai.

➩ Galat Robot.txt ka use karna

Adsense harbar aapki site ko scan karta hai uspar ads dikhne ke liye. Agar aapne Robot.txt ke jariye Google ko naa aane diya to aapke blog par ads nahi aayege.

To Aapko ye jaankari kaise lagi or aap kya sochte ho Adsense ke bare me ye commet karke jarur bataye.

Related Articles

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker