अब अपने फेसबुक अकाउंट को पेज में बदले। देखे पूरी प्रोसेस।

Kyo Badle Facebook Profile ko Page me

Facebook Profile kya hoti hai wo to aapko pata hoga or uski kuch limitation bhi hoti hai jese aap Facebook Profile me 5000 se jada friends nahi bana sakte.

FB Profile ko Page me badalne ke ye karan ho sakte hai ki aap koi badi hasti hai jisko log follow karna chate hai to wo Facebook par aapko Friends nahi bana sakte 5000 ke baad par aap agar apna Page banate hai to aapko kitni bhi log follow kar sakte hai Aapke Page ko Like karke. Profile ko bhi Follow kar sakte hai, par kuch privacy ki maja se aap Profile nahi chala sakte, jese aap kab online aate ho.

Agar aapka koi Business hai tobhi aapko ye future kaam aa sakta hai, aapke jitne bhi friends hoge wo Profile se Page me badalne par Page Likes me badal jayege, or iss trha aapko starting me hi 5000 likes mil sakte hai Page par agar aap 5000 Friends banane ke baad Page me convert karte hai to.

Ye Bhi Padhe: Facebook Se Paise Kaise Kamaye

Facebook Account ko Page me Badalne Par Kya Hoga.

Jitne bhi aapke Friends or Followers hoge wo Page me badalne ke baad Facebook Like me badal jayege.

Aapka Jo Profile ka Username hai wo hi Page ka username rahega. (link hai wo same hi rahegi)

Jo aapki Profile ka Naam hai wo hi Page ka Naam rahega.

Jo aapki Profile Picture hai wo hi Page ki Picture rahegi.

Aapne jitni bhi Friends se Chat ki wo aap nahi dekh payege.

Jitne bhi Profile me Photo upload kiye hai wo page me transfer nahi hoge.

Aap jitne bhi Group me Join hai un sab se hat jayege.
Agar aap Chate hai ki ye sab naa ho to aap ek kaam kar sakte hai ki ek New Facebook Page Banaye or apne Followers ko kahe ki Page ko like kare or Profile bhi rhene de.

Aap apni Profile ko Page me badalne se phele in Steps ko jarur pura kar le.

Aapki Profile ka Data Download kar lijiye, Kyuki Page me convert karne par sab delete ho jayega.

Aapne jitne bhi Group or Page ke admin hai usme or kisi ko admin bana dijiye.

Ab aap Facebook Profile ko Page me convert karne ke liye teray hai.

Also Read~
🔘Paytm से पैसा Pay कैसे करे।
🔘 Blank या खराब मेमोरी कार्ड कैसे ठीक करे।

Facebook Profile ko Page me Convert karne ke Liye Kya kare

Ab agar aap soch chuke hai ki aapko Apni Facebook Profile ko Page me convert karna hi to chaliye dekh lete hai uski steps.

Important Note: Ek war Facebook Profile ko Page me Convert karne ke baad aap Wapas usko Page ko Profile me Convert nahi kar sakte.

Ab neeche diye gaye link Convert Fcebook Account to facebook Page Par click kare aur login Kare.

                   Convert Facebook Account to Facebook Page

Ab aapko Simple Jo Process hai Facebook Page banane ki wo Follow karna hai, Aapse Profile ko Page me Convert karne ke liye aapka Facebook Account ka Password bhi Pucha jayega..

Agar aapko Facebook Profile ko Page me convert karne me koi Problem aa rahi ha ya aapka koi sabal hai to aap comment me puch sakte hai.

Also Read~
🔘 ऐसे जानें Whatsapp पर आपको किसने किया ब्लॉक।
🔘 Microsoft PowerPoint क्या है इसमें कैसे काम करते है। जाने पूरी जानकारी हिंदी में।

Related Articles

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker