2000₹ का नोट कैसे जाने असली है या नकली और क्या क्या नया फीचर है 2000₹ के नोट में।

     Hallo Dosto Mai hu Brijesh Yadav Hindi Tech News Par Aapka Swagat Hai Aaj hum jaanenge 2000 ke naye Note Ke baare me Ki is naye note me aakhir kya khas hai aur asli koun sa note hai iski pehchaan karna hum sikhenge aaj 8 november 2016 ki raat 12 baje se 500 aur 1000 ke note ko Modi Sarkaar ne band karke deshhit me bahut bada faisla liya hai…aur usi 8 november ki raat se 2000 ke naye note ke baare me maalom huwa tab se log jaan na chahte hai aakhir is 2000ke naye note kya khas hai to chaliye hum batate hai. sabse pehle mai aapko bataounga 500 aur 1000 ke purane note band hone se kya fayde hai aur kis kaaran purane noto ko Modi Sarkaar ne band kiya.

 Ab USSD Code se jaane sabhi Bank ke Account Balence apne Mobile par Bina Internet.

➧ ₹500 Aur ₹ 1000 ke Note Ko Band Karne Ke Kaaran Aur Fayede.

Hamare Desh ki jo pura paisa hai uska sabse bada amount yani 70%  money 500 or 1000 ke notes me tha, or jitne bhi galat kaam hote the wo inhi notes ki madad se hote the. ye Kuch Points jinki madad se aap achi se samaj payege.

➤ Black Money par lagam lagai ja sakegi, or jinke pass bhi galat tarike se paise kamaye huee hoge wo samne aa jayega ya fir wo kisi kaam ka nahi bachega..

➤ Jo Tax churate hai unko ab tax bharna hi padega.

➤Nakli Note bhut jada ho gaye the, to ab wo bhi ab sab khatam.. kyu ki jo naye Note aaye hai unka Design or unke banane ke tarika bilkul alag hai to unke nakli note banana ab muskil hai. abhi har 1000 noto me 4 nakli note nikal jate hai itne sare nakli note hai.

➤Neta log chunav me voter ko kharid ne ke liye inhi noto ka use karte the, vote ko kharidne ke liye ab wo bhi possible nahi ho payega. kyu ki ab jo naye note aayege usko track kiya jayega unke number ki madad se ki wo kaha kaha gaye.
➤₹500 or ₹1000 ke Note ko Band karne ka ek nuksan bhi huaa hai wo bhi me aapko bata deta hu.. wo hai  Ghar ki Ladies ka huaa hai kyu ki wo apne kuch paise chupa kar rakhti hai taki wo apne kaam ke liye use kar sake.. par ab wo sab paise bahar aa jayege nahi to agar unko exchange nahi kiya to wo sirf paper bachege.. iss karan bahut si Ladies ka Black Money bahar aa raha hai  ye sirf ek majak hai..

➨ Paypal Par Account Kaise Banaye Padhe Puri Jaankaari.

➧ ₹2000 or ₹500 ke naye Note me kya – kya Khubiya Aur Feature hai or kaise Asli or Nakli ka Pahchaan kare

Dosto agar Aap Indian Rupee (₹) ko use karna chate hai to aapko ye jankari hona bhut hi jaruri hai nahi to bhut se galat log iska galat tarike se fayda utha sakte hai. Agar aapko pata hoga ki jo ₹2000 or ₹500 ke naye note me kya kya hai or usko kaise dekhna hai to aap badi aasani se pata laga sakte hai ki jo note hai wo asli hai ya nakli. in information ko har ek se share jarur kare.

➧ ₹2000 Rupee ke Note ke Feature Aur Khubiya.


➨ Online Business Start Kaise Kare Uski Puri Jaankaari Yaha Par Hai.
1- Note ke iss hisse ko agar rosni me dekha jaye to yaha 2000 likha huaa dikhai dekha.

2- Yaha 2000 ki Image bani huaa hai.. jo samne se dekhne par sahi se samaj nahi aayegi, par agar Note ko teda karke dekha jaye to waha aapko 2000 likha huaa dikhai dega.

3- Note me ₹2000 likha huaa hai ulte hath side Devnagari me.

4- Mathma Gandhi ji ki tasvir hai bich me.

5- Gandi ji ki tasvir ke piche chote chote aksaro me BRI or 2000 likha huaa hai.

6- Note ke sidhe hath side suraksha dhaga hai. Agar Note ko Upar se dekha jaye to wo Nila dikhta hai or agar note ko teda karne dekha jaye to uska rang badal jata hai or hara rang ka dikhne lagta hai.
7- Paise ada karne ka bada or Governor ke sign hai hai, uske niche RBI ka logo bhi bana hua hai.

8- Jo Khali jagha hai waha Gandhi ji ka Photo ubhar aata hai piche se rosni karne par, or 2000 bhi likha huaa dikhta hai.

9- Note ke jo Number hai unka aakar chote se bada hota jata hai.

10- Number ke upar ₹2000 likha huaa hai jiska rang  hare or Nile me badalta rahega.

11- Ashok Stamp ka Chinya bana huaa hai.

12- Ashok Stamp ke tikh upar ek kale rang me box hai jispar 2000 ubhra huaa hai, jisko chu kar bhi pata kara ja sakta hai.

13- Note ke dono taraf 7 line khichi huaa hai, jinki ink ubhri hui hai.. inko chu kar bhi mhesus kiya ja sakta hai.

14- Note me Piche ki taraf Note kis saal me chapa hai wo likha huaa hai.

15- Swatch Bharat abhiyan or uska Logo bana hua hai. or uske niche Bhartiya reserve bank likha huaa hai.
16- Alag alag bhasao me do har rupee likhe hue hai ek Box me jo lagbhag bich me hi hai.

17- Note ke Piche Mangal Yaan ki tasbir bani hui hai. jo hamare desh ka safal antrikh yaan ki safalta ki nisani hai.

18- Note ke Piche sidhe hath side upar Davagari me ₹2000 likha hua hai.

19- Jo ₹2000 ka note hai uski chodai 66mm hai or uski lambai 166mm hai.
Note ka rag maganta hai.

20- 2000 rupee ke note me (₹) latter ke sath hai.

To ye Raha 2000 Rupee ke note ki Khubiya aur Feature agr aap logo ko kuchh alag se maalom hai ya kuchh logo ke sune sawaal jise jaan na chahte hai to comment me zarur Puchhe…

aise hi nayi nayi jaankaari ke Liye padhte rahe HTN 
Ye Bhi padhe….⇓
➱ Computer Start Hone Par Apna Naam aur Khud ka likha Message dikhaye
➱Windows Install Kare 1 Minut me.
➱Computer Ke Liye Bahut Hi Upyogi Software Jise Nahi jaante aap.
➱Ek Hi Mobile Me 2 Whatsapp Chalaye Bilkul Aasaani se.

Related Articles

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker