Youtube के बारे में ऐसे सवाल जिसका जवाब हर Blogger जानना चाहता है।

Brijesh Yadav
0


    Hello Friend,Mai hu Brijesh Yadav Hindi Tech News Par Aapka Swagat hai. aaj hum janenge Youtube se sambandhit kuchh sawalo ke jawab jo har kisi blogger ke man me hota hai. Youtube jo ki ek Video Shareing Site hai jo February 14, 2005 ko launch hui thi, jisko baad me Google se connect karliya. is Post me ham ussi ki kuch options ki baat karege.

agar aap Youtube use karte hai ya karne ki soch rahe hai ya fir aap youtube paise kamane ke liye use karte hai to ye jaankari aapke liye jaruri bhi hai.

To Chaliye jaante hai Youtube Me use hone wale Sabdo ke bare me or kya matlab hai unka, kya istmal hai unka.



➤Youtube Channel Kya hoti hai


Youtube par jo hamara acount hota hai, jisme ham video upload karte hai usko Channel bhi khate hai.

➤Subscribe Kya hota hai, or iska Kya Faida hai


Ham youtube par kisi channel par new video ki jaankari ke liye subscribe karte hai.. Subscribe karne ke baad hamare youtube ke account ke subscriptions me new video aa jate hai jinko hamne subscribe kiya hai or Hamare email par bhi pata chal jada hai.. Job koi kisi channel ko Subscribe karta hai to wo subscriber kehalata hai.

➤Channel Trailer kya hota hai.


Ye hamari Channel ka hi ek video rhata hai jisko ham apne channel ke home page me set karte hai. jab koi hamari channel ko kholta hai jisne subscribe nahi kiya hai to wo video apne aap play hone lagta hai. ham is video me apne channel ke bare me batate hai taki wo subscribe kare.

➤Monetize ka kya matlab hai or isko kaise karte hai


Youtube par jo video upload kiye jata hai to uske jariye paies kamane ke liye uspar ads dikhana padta hai, usko monetize khate hai, or is process ko monetization khate hai.

➤Thumbnails kya hoti hai.


jo video rhata hai, usko play karne ke phele jo image hame dikhti hai wo Thumbnail hoti hai.

➤PlayList kya hoti hai.


youtube par ek se jada video ek group me rhate hai usko playlist khate hai. Playlist me ek video khatam hone ke baad dusra video apne aap start ho jata hai.

➤Annotations kya hai or inka kya istmal hai


Ye Youtube ka ek future hai isme ham video ke upar link add kar sakte hai. Fir jab koi hamare video ko dekhta hai to us button par click karke bo us link par ja sakta hai.. Ham Subscribe button bhi add kar sakte hai Annotation ki madad se.

➤Subtitles and CC kya hai or kya faida hai iska


   Video ke andar agar koi bol raha hai to uska likha huaa bhi aata hai video me usko khate hai subtitles ya CC. YE sabse jada jab kaam aata hai, jese koi video kisi dusr bhasa me ho or aapko wo nahi aati to aap CC ki madad se jaan sakte ho ki wo kya bol raha hai, CC ko translate bhi kar sakte hai.

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)
CLOSE ADS
CLOSE ADS