Youtube पर वीडियो कि सेटिंग कैसे करे जिससे आपके चैनल का view बढे।

Brijesh Yadav
0

     Hallo Dosto Mai hu Brijesh Yadav Hindi Tech News Par Aapka Swagat hai. agar aap youtube par videos upload karte hai aur uspe views nahi aate hai toh ab aapko kuch Youtube ke basic par sabse important bate btane ja rha hu jisse aapke videos pr view aane lagenge or usse aapki income bhi badegi.

Aesa nahi hota ke Video Dale or ek dam bahut se Views aa jaye jese Dusri Popular Channel par aate hai. Dekhiye ye koi shortcut nahi hai.

yah ek strategy hai jisko Technical language me Youtube SEO (Search Engine Optimization ) kaha jata hai . Toh agar aap inn simple Points ko Diyan me rakhte huee apne youtube videos upload karege toh aapke videos pr ache Views bhi aane lagege or sath sath aapki Channel bhi Dhire dhire Popular hogi bilkul sahi tarike se.



1. Video Ka Title


aapka video jis bhi topic par ho ,uska Title short and video se related hona chahiye. Matlab ki agar aap kisi Dance ka video upload kar rahe hai toh apka Title ho skta hai “Best Dance Video”. Title likhte samay aapko dhyan me yah rkhna hai ki aapka Title aapke Video Content ke according hi hona chahiye.

Aisa nahi ki apka video dance ke bare mai hai aur aapne Title likha hai “Best Hindi Movie Video”. agar aap aisa karte hai toh apka video ek spam video mana jayega aur yah video search engine me ignore kiya ja skta hai.
Agar Lambe time tak aapko Video par kaam karna hai to aesa karne se aapki phele hi image kharab ho jayegi fir koi aapki channel par aane ka sochega bhi nahi.. to kuch bhi galat or shortcut apnane ki naa soche.

2. Video Ka Description


Dekhiye, Youtube ne hamare video ke liye ek Description Box banaya hai iska matlab hme uska utilize krna bahut hi Important hai . Kuch log hote hai Bas Video Upload karte hai aur Description mein Kuch Nahi Likhte hai . Agar aap description me video ke andar jo content hai uske bare me 200-300 words likhte hai toh yah search engine me show krne lgta hai . Jisse aapke video ki ranking better ho jati hai aur aapke video par views aane lagte hai.

Description ki starting ki 2 line achi se likhna bhut jaruri hai, kyuki ki hamare Video ke sath wo bhi search me dikhti hai jisko log padkar video par click karte hai.

3. Keyword(Tags) dale sahi se.


Apke video ko famous krne ke liye keywords bahut hi Important hota hai. Aap soch rahe honge ki kon sa keyword daala jay ki video adhik se adhik search ho. Iske liye aapko Google ke Keyword Planner Tool me aap apne video se related keyword ko search kijiye. Fir usme aapko ek monthly search ka data milta hai. Usme Low aur Medium Competition aur adhik bids (CPC cost per click) wale keyword ko choose kijiye aur apne Video me Tag mein Use kare. Isse aapki video pr views bhi milenge aur earning bhi jyada hogi.

Keywords dalne se ek or faida hota hai ki agar koi kisi Video ko dekh raha hai or jo tag usme hai wo hi tag hamare video me bhi hai to side me jo suggestion Video aate hai usme hamara video bhi aa sakta hai, jisse bhi hamare Video ke Views badne me madad mil sakti hai.

4. Thumbnail ko Change kare


Thumbnail ka matlab toh aapko pta hi hoga. agar nahi pta hoga toh mai aapko btata hu, Dekhiye jab hmara video Suggested Video ki list me show krta hai toh uss video pr jo image show karti hai usko Thumbnail kahte hai. Toh agar hum Thumbnail ko Manually design aur edit karke purane wale thumbnail ko change kr denge toh uspe viewer ki najar padegi. Aur video ko dekhne ke liye bechain ho jayega.

ek Servay me aaya tha ki jo log youtube par aese hi kisi video ko dekhna chate hai to wo Video ki Thumbnail ko dekh kar hi uspar click karte hai. Matlab agar Thumbnail achi nahi to Views nahi. Youtube SEO ke najariye se Video thumbnail sabse important hai.

Aapke video ka Thumbnail aapke video se hi related hona chahiye. Koi sexual image bhi nahi lagana chahiye.

5. Subscribe Appeal

Agar aapka video unique hai aur aapke viewer ko video pasand aaya lekin aapne video mein me aapne subscribe karne ke liye bola hi nahi toh ho sakta hai viewer aapke channel ko subscribe na kare. Toh agar apko subscriber ki numbers badhane hai toh video ki last me logo ko subscribe krne ke liye boliye.

Aapke Video ke jo Viewers hai unse ek relation banaye or unse Video ke last me kahe ki wo aapko support kare or aapke video ko Share, Like, Comment kare or New Video ke liye Channel ko Subscribe jarur kare  .. inki madad se hamare video ki rank badti hai or wo search me top par aane lagta hai, Jo Views ke liye jaruri hai.

Toh friends aap upar btaye gaye 5 Youtube SEO Points ko follow kijiye. Kuch hi dino me apko positive(acha badiya) response milega. Toh aapse ek request hai ki iss post ko adhik se adhik share kare jisse aur log bhi in tips ke bare me jaanne ka moka mile.!!

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)
CLOSE ADS
CLOSE ADS