Blog में नया टेम्पलेट कैसे add (Upload) करते है।
Blogger ne phele se bahut se template de rakhe hai free me use karne ke liye par wo bahut purane hai or ham jaante hai ki Search Engines ke search karne ke tarike badalte hi jaa rahe hai. To hame jarurat hai ek naye SEO Friendly template ki.
Template Mobile Friendly bhi hona chahiye matlab aapka blog mobile me bhi acha dikhe kyu ki ham ye to jaante hai ki jadatar lag ab mobile par hi Net chalate hai.
Blogger ka Template ham agar Google me Search kare to lakho template aajaye ge unmese ham hamari jarurat ke hisab se chun kar usko apne blog par use kar sakte hai, hame use upload karna padta hai. aaj ham ye hi jaanege ki Blogger par Template ko Upload kaise karte hai.
Template ko Download karne ke liye me aapko ek achi website batata hu btemplates.com is site par aapko bahut se free template mil jaayege.
sabse pehle aap ek Template download kar lijiye jo aapko pasand ho. Download karne se pehle us Template ka Demo dekhe ki wo kaisa dikhai dega agar aapko achha laga to Download kar lijiye..
yaad rakhe sabhi Template zip file me Download hota hai Download karne ke baad use Computer ya Laptop me Us file Extract Kare tab usme aapko ek file xml karke dikhega last me xml rahega jo wahi file Template hota hai jise aapko apne blog me Upload karna hai Samsang ke 8000 rupee ke phone se lekar sabhi samsang mobile phone me hi zip file extract karne ka feature hota hai jo mai aapko agle post me vistaar se bataunga..aur Template ko edit kaise karte hai ye bhi mai jaldi hi post karunga.. to chaliye dekhte hai step by step Blog me Template kaise Upload karte hai.
Blogger.com par jakar Login karo
Apne Blog ke Dashboard me jao. uper screenshot dekhe..
Template par click kare…
Backup/Restore ki button par click kare
Ab ek popup window khulegi. uper screenshot me dekhe.
1- Apna template upload karne se phele Download full template par click or apna purana template Download kar le. maan lo hamare naye template me agar kuch dikkat aai to ham bapas apna purana template upload kar sake.
2-Apna Naya Template Choose File par clich karke computer me se Select kare. Jo Blogger Template ki file hoti hai bo .XML formate me hoti hai.
3-Select karne ke baad Upload ki button dabaye
bas ho gya aapka new template upload….