लाजवाब Google Search Engine ट्रिक जो आपको नही पता।

Google Search Engine Search Tricks jo Aapko Nahi Pata

1: Atari Breakout

Google me serch kare atari breakout fir image select kare, Image ko select karne ke baad jo search page hai usme ek game aa jayega.

Atari Breakout
2: Timer or Stopwatch

Agar aapko Time ya Stopwatch ki jarurat hai to aap google me direct search kare. Timer ya fir  Stopwatch.

Timer

StopWatch
3: Flip A Coin

Sikke se hai Tos karte hai ki kon, par bhut war aesa ho jata hai ki kisi ke pass koi sikka nahi hota to ham google search ki madad se tos kar sakte hai. Google me hame search karna hai Flip A Coin fir ham Tos kar sakte hai or Head or tail select karke apna fesla le sakte hai.


Flip A Coin

4: Weather

Mosam ki jankari ke liye ham Google me search kar sakte hai weather. Agar kisi particular jagha ke mosam ki jankari chaiye to ham us jagha ke naam ke sath weather search karke pata kar sakte hai.
Weather
5: Calculator or Calc

Agar aapko koi calculation karna hai, to aap google ke calculator ka use kar sakte hai. Google me search kare Calculator ya fir calc uske baad search me calculator aa jayega, jisme ham apna calculation kar sakte hai.
Calculator

Agar aapko Direct hi kisi chij ko jodna ya ghatana hai to aap direct bhi google me search karke uska answer dekh sakte hai.. Jese 2+2 search karege to uska answer 4 aa jayega search me.
6: Roll A Dice

Aapne Saap Sidhi wala khel to khela hi hoga, usme jo Pasa (Dice) hoti hai jisme 6 side me alag alag number hote hai.. ham usko fekte hai fir jo number aata hai hame wo chalna hota hai.. Wo dice ham google search engine me bhi use kar sakte hai. Goole me search kare Roll A Dice ab hame click karke roll karna hai to har war usme new number aayega.

Roll A Dice
7: Play PAC-MAN Game

Google search me Game khelne ke liye search kare Pacman. fir search me game aa jayega jisko ham khel sakte hai.
PAC-MAN
8: Google Gravity

Gravity kya hai wo to aapko pata hi hoga, kuch bhi chij ho wo niche girti hai, wo hi effect ham google seearch engine me bhi dekh sakte hai. Google se search kare Google Gravity fir jo sabse phela result hai uspar click kare to aap google Gravity ke Page par bhuch jayege.
Google Gravity
9: Do A Barrel Roll

Do A Barrel Roll search kare google me to jo search page hai wo 360 degree rotate hoga.
Do A Barrel Roll
10: Zerg Rush

YE bhi ek Game hi hai , isme jo Google ke oo hai wo aate hai or pure search page ko distroy karte hai. Google me search kare zerg rush fir ye aa jayege.
Zerg Rush

11: Currency Rate
Agar aap Doller $ ya kisi bhi currency ka rate pata karna chate hai to aap google me search kare currency rate fir apni currency select kare or kisme convert karna chate hai wo select kare.
Currency Rate

Aap Direct Google me bhi search karke pata kar sakte hai, jese 1$ ki kimat search karna hai Rupees ₹ me to search kare. 1$ to rs0.015 aayega..
12: Unit Converter

Agar aapke pass koi Value hai kisi unit me or aap usko convert karna chate hai.

In Value ko convert kar sakte hai, kisi bhi unit me

  • Temperature
  • Length
  • Mass
  • Speed
  • Volume
  • Area
  • Fuel consumption
  • Time
  • Digital storage
  • Google me search kare unit converter ab aapki jo value hai wo dal kar convert kar sakte hai.

Unit Converter

13: hotels in [destination]
Agar aap kahi ja rahe hai or aapko bha ki hotels search karna hai to aap google me search kare Hotels in (jaha ki hotels chaiye us jagha ka naam).
Hotels in Mumbai
14: Find My Phone
Agar aapka Android Mobile hai or aapne usme apni GMail ID se login kar rakha hai to aap usko Google search me find kar sakte hai.. Google me Search kare Find My Phone. Jada Jankari ke liye yaha click kare
Find My Phone
15: Spelling Mistake check kare google me

Agar aap koi sabd likh rahe hai or aapko uski spelling nahi aa rahi hai to aap usko google me search kare. Agar wo spelling galat hogi to google automatic usko sahi kar dega.

Jese agar aap Nver Gna Gve Yo Up search kara google me to google automatic Never Gonna Give You Up sabd ka result dikhayega.

Spelling Auto Correct
16: Translator

agar aapkokisi sabd ka dusri bhasa me matlab dekhna hai to aap google me search kare translator fir apna sabd daal kar translate kar lijiye.
Translator
17: My Location

Agar aapko apni location pata karni hai Google me to search kare My Location fir search me hamari location show ho jayegi.
My Location

Live Cricket Match ka ka Score dekhne ke liye search kare Cricket Score.
Cricket Score
19: Time *Place*

Duniya ki kisi bhi jagha ka time jaanna ho to search kare Time Place. Place me us jagha ka naam dalna hai jaha ka aap time dekhna chate hai.

Jese agar aapko London ka time dekhna hai to search kare Time London
Time London

Agar aapki jagah ak hi Time dekhna hai to aap search kare Current Time
20: ATM Search

agar aap kahi gaye hue hai or aapko apne ATM card se paise nikalna hai to ATM Machine ko bhi aap google me search kar sakte hai. Google me search kare ATM
ATM

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker