Gmail Account Kaise Banaye? How To Create a Gmail Account?

➤Email ID kya Hota Hai?

   Email ID apki ek vertual ID hoti hai jiski madad se aap kisi dusre ki Email ID par message send kar sakte ho Internet ke madiyam se. Jo Email ID hota hai usme hamara username hota hai or akhri me jis site par hamne Email ka account banaya hai uski link hoti hai or dono ke bich me @(at the rate) ka sign hota hai.
Jaise mera Offcial Email ID hai [email protected] to isme mera username hai brijesh aur email id hinditechnews.com par hai. Ye Hindi Tech News Ki Offcial Email hai Jise Kharidna Padta Hai Aur Regester Karana Padta Hai..Lekin Aapko Iski Zarurat Nahi Hai Aap Log Email ID Free Me Banaye…

    Email ID aap kisi bhi site par bana sakte ho Yahoo, Microsoft ya GMail. Par mai aapko Gmail Par ID banakar dikhaoga kyuki  ye Google ki Service hai to iske or bhi faide hai….

Also Read-

➤Gmail Par Account Kaise Banaye?

Gmail Google ki hi service hai isliye Gmail Account ko Google Account bhi khate hai. Gmail Par account banana koi jada muskil nahi hai. Simple aap meri steps ko follow karna or agar kahi par aapko dikkat aati hai to muje comment karke batana me aapki puri tarah se help karne ki kosish karuga. To chaliye suru karte hai.

Step:- 1

Sabse phele www.Gmail.com ki site par jaiye.

Step:- 2

Create account par click kare new account banane ke liye

Step:- 3

Ab aapke saamne ek Form khulega Jaise Aap Uper Screenshot Me Dekh Sakte hai…. usme aapko apni puri detail bharke submit karni hai..
Neeche Dekhe Kya Kaise Aur Kaha Bharna Uper Screenshot Me Dekhte Jaye number Aur Neeche Kya Bharna Hai…

  1. Apna Naam 
  2. Surname, Matlab Jaise Mai Yadav Hu To Yadav Bhara Hu .
  3. username bharna hai. username me aap naam or number dono ko mila kar bhi bhar sakte ho. username me aisa naam bharna padega jo phele kisi ka na ho. Example Mera  naam Brijesh Yadav hai to Maine brijeshyadav user name me bhara Lekin Ye username koi Pehle hi le chuka hai to Mai usme 09670 number aur laga diya to accept ho gya…
  4. Ab aapko apne account ke liye password likhna hai or usko dubara niche bhi bharna hai. password aisa hona chahiye jo aapko aasani se yaad rahe or dusra koi pata na kar paye. password me Number (12345) Sabd (ABCabc) or special cerector (@#$%!) ko milakar jo aap chahe wo password rakh sakte ho. aapko password yaad rakhna hai.
  5. Wapas Wahi Password dalo..
  6. Aapki jo bhi janm tharik ho usko bharna hai. mahina/tharik/saal is format me bharna hai To Isme Date Daale…
  7. Isme Mahina ( Month)
  8. Isme Year Bhare..
  9. Ab aapka Gander selectkarna hai. Male ya Female jo aap hai select karle.
  10. Apna Mobile Number dale
  11. Apka agar koi Purani Email ID hai to usko dalo ya fir khali hi rhane do
  12. Location me aap kis country se ho select karle. India Select karle
  13. Ab Next Step ki Button par click karo…

Step:- 4


Ab Screenshot me Thik Usi Par Click Kare…Aur Neeche “I Agree” Par Click Kare..

Step:-5

Ab “Continue To Gmail” Par Click Kare..Aapka Gmail ID Ban Gya Hai..

Ye Hai aapke Gmail Account…Isme Dekhe Kaha Kya Hota Hai..

  1.  Primary:-Isme aapke Primary Email aayenge.. Jo Zaruri Email Hai..
  2. Social:-Isme Social se sambandhit Email Aayenge Jaise Facebook,Twitter its..Agar Aap Iss email se Social Account Kholenge Tab Isme Notification Aayenge…
  3. Promotion:- Isme Ads Its Promotion Email Aayenge..
  4.  Ye Aapka Profile Hai Jise Aapko Update Karna Matlab Mobile Number its Verify Karna hai..
  5. Yaha Click Karke Aap Koi Bhi Theme Apne Email Par Laga Sakte Hai..
  6. Apna Contact aadi Import Kar Sakte hai..
  7. Profile Par Photo Laga Sakta Hai…

Ab aapka account ban chuka hai or khul kar aaoke saamne hai. Ab account jab bhi aap open karna chahe to Apna Email ID or uska password daalkar Sign kar sakte ho.

➤Gmail me Sign In or Sign Out kaise kare?

Sing In karne ke liye www.Gmail.com site par jao or apna email or password daalkar sign in kar sakte ho. fir aapka account khul jayega.

Email Account Kholne Me Koi Bhi Problum Aaye To Aap Comment Me Bataye…Ya Fir Contact us Ya Ask Question Par Apne Sawaal Bheje Ya Facebook Page Par Message Kare…
…..Dhanywaad

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker